gudaz reshmi guft-o-shunid ho maula
gudāz reshmī guft-o-shunīd ho maulā
matā.a-e-zehn-e-rasā bhī jadīd ho maulā
ik aisā banda mire ghar meñ parvarish paa.e
jo terī raah pe chal kar shahīd ho maulā
jo mere paas hai tāvān hai saḳhāvat kā
ye iltifāt-o-ināyat mazīd ho maulā
hamāre zehn ko irfān-e-āgahī de de
jo nasl-e-nau ke liye bhī mufīd ho maulā
ye bad-numā.ī numā.ish kabhī na kar paa.e
jo ehtijāj kā jazba shadīd ho maulā
hamāre ḳhuun kī har buuñd teġh ban jaa.e
nazar ke sāmne jab bhī yazīd ho maulā
qubūl saarī ibādat ho roza-dāroñ kī
jo terī marzī hai vaisī hī eid ho maulā
gudaz reshmi guft-o-shunid ho maula
mataa-e-zehn-e-rasa bhi jadid ho maula
ek aisa banda mere ghar mein parwarish pae
jo teri rah pe chal kar shahid ho maula
jo mere pas hai tawan hai saKHawat ka
ye iltifat-o-inayat mazid ho maula
hamare zehn ko irfan-e-agahi de de
jo nasl-e-nau ke liye bhi mufid ho maula
ye bad-numai numaish kabhi na kar pae
jo ehtijaj ka jazba shadid ho maula
hamare KHun ki har bund tegh ban jae
nazar ke samne jab bhi yazid ho maula
qubul sari ibaadat ho roza-daron ki
jo teri marzi hai waisi hi eid ho maula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.