guftar badal kar kabhi kirdar badal kar
guftār badal kar kabhī kirdār badal kar
taqdīr meñ yuuñ jiit likhī haar badal kar
ab 'mīr' ke 'ġhālib' ke vo uslūb kahāñ haiñ
ash.ār kahe jaate haiñ me.aar badal kar
sar-dardī ke unvān sabhī meñ haiñ ba-kasrat
ham ne to yahī paayā hai aḳhbār badal kar
hotī hai har ik jang meñ kyoñ haar hamārī
dekho to kabhī qāfila sālār badal kar
taqdīr kī likhī huī tahrīr badal deñ
us shaḳhs ne baat apnī har ik baar badal kar
apnī bhī to raftār badal kar kabhī dekho
kyā hogā bhalā vaqt kī raftār badal kar
majbūr haiñ lāchār haiñ is daur meñ 'vājid'
laa.eñ kahāñ se ham dil-e-ḳhuddār badal kar
guftar badal kar kabhi kirdar badal kar
taqdir mein yun jit likhi haar badal kar
ab 'mir' ke 'ghaalib' ke wo uslub kahan hain
ashaar kahe jate hain mear badal kar
sar-dardi ke unwan sabhi mein hain ba-kasrat
hum ne to yahi paya hai aKHbar badal kar
hoti hai har ek jang mein kyon haar hamari
dekho to kabhi qafila salar badal kar
taqdir ki likhi hui tahrir badal den
us shaKHs ne baat apni har ek bar badal kar
apni bhi to raftar badal kar kabhi dekho
kya hoga bhala waqt ki raftar badal kar
majbur hain lachaar hain is daur mein 'wajid'
laen kahan se hum dil-e-KHuddar badal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.