guftar mein chhalka teri namkin baaton ka namak
guftar mein chhalka teri namkin baaton ka namak
Yamit Punetha Zaif
MORE BYYamit Punetha Zaif
guftār meñ chhalkā tirī namkīn bātoñ kā namak
terī ijāzat ho to chakh luuñ tere hoñThoñ kā namak
gar dekhiye to ab vahāñ gulzār paidā ho ga.e
jis jā chhiḌak aaya thā maiñ pairoñ ke chhāloñ kā namak
bhūke rahe lekin kisī ke aage phailāyā na haath
hargiz nahīñ khāyā kabhī ġhurbat meñ ġhairoñ kā namak
mujh ko rulāne vaale terī har ḳhushī qaa.em rahe
merī du'ā hai tū kabhī chakkhe na ashkoñ kā namak
piitā huuñ dho kar 'zaif' to is meñ ġhalat kyā hai batā
mujh ko tabarruk lagtā hai ye maañ ke pairoñ kā namak
guftar mein chhalka teri namkin baaton ka namak
teri ijazat ho to chakh lun tere honThon ka namak
gar dekhiye to ab wahan gulzar paida ho gae
jis ja chhiDak aaya tha main pairon ke chhaalon ka namak
bhuke rahe lekin kisi ke aage phailaya na hath
hargiz nahin khaya kabhi ghurbat mein ghairon ka namak
mujh ko rulane wale teri har KHushi qaem rahe
meri du'a hai tu kabhi chakkhe na ashkon ka namak
pita hun dho kar 'zaif' to is mein ghalat kya hai bata
mujh ko tabarruk lagta hai ye man ke pairon ka namak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.