gul-badan gul-pairahan ruh-e-chaman tum hi to ho
gul-badan gul-pairahan ruh-e-chaman tum hi to ho
Mohammad Shafi Sitapuri
MORE BYMohammad Shafi Sitapuri
gul-badan gul-pairahan rūh-e-chaman tum hī to ho
jān-e-man ġhuncha-dahan shīrīñ-suḳhan tum hī to ho
gulshan-e-hastī kī ra.anā.ī tumhāre dam se hai
nargis-o-nasrīñ gulāb-o-yāsman tum hī to ho
merī izzat merī zillat sab tumhāre haath hai
maiñ barahna jism merā pairahan tum hī to ho
jis ko paane ke liye ahl-e-ḳhirad tarsā kiye
merā vo sarmāya vo dīvāna-pan tum hī to ho
koī samjhe yā na samjhe maiñ samajhtā huuñ zarūr
zindagī tum hī to ho dār-o-rasan tum hī to ho
saarī duniyā kī bahāreñ jis ke chehre par nisār
jis pe qurbāñ do-jahāñ kā bāñkpan tum hī to ho
maiñ tumhāre ishq meñ kāfir se momin ban gayā
merī nazroñ meñ hidāyat kī kiran tum hī to ho
kar diyā jis ne mujhe ahd-e-vafā se āshnā
jis ne baḳhshī pyaar kī mīThī chubhan tum hī to ho
raat kī tārīkiyoñ ko jis ne baḳhshī raushnī
chāñd tāroñ kī vo dilkash anjuman tum hī to ho
bhuul jaatā huuñ maiñ jis ko dekh kar har ġham 'shafī.a'
mere armānoñ kā vo zarrīñ gagan tum hī to ho
gul-badan gul-pairahan ruh-e-chaman tum hi to ho
jaan-e-man ghuncha-dahan shirin-suKHan tum hi to ho
gulshan-e-hasti ki ranai tumhaare dam se hai
nargis-o-nasrin gulab-o-yasman tum hi to ho
meri izzat meri zillat sab tumhaare hath hai
main barahna jism mera pairahan tum hi to ho
jis ko pane ke liye ahl-e-KHirad tarsa kiye
mera wo sarmaya wo diwana-pan tum hi to ho
koi samjhe ya na samjhe main samajhta hun zarur
zindagi tum hi to ho dar-o-rasan tum hi to ho
sari duniya ki bahaaren jis ke chehre par nisar
jis pe qurban do-jahan ka bankpan tum hi to ho
main tumhaare ishq mein kafir se momin ban gaya
meri nazron mein hidayat ki kiran tum hi to ho
kar diya jis ne mujhe ahd-e-wafa se aashna
jis ne baKHshi pyar ki miThi chubhan tum hi to ho
raat ki tarikiyon ko jis ne baKHshi raushni
chand taron ki wo dilkash anjuman tum hi to ho
bhul jata hun main jis ko dekh kar har gham 'shafia'
mere armanon ka wo zarrin gagan tum hi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.