gul ban ke mere dil mein sanwar kyon nahin jate
gul ban ke mire dil meñ sañvar kyoñ nahīñ jaate
ab shaam huī jaatī hai ghar kyoñ nahīñ jaate
tum vā'da nibhāne ko bhī tayyār nahīñ ho
Darte ho to vā'doñ se mukar kyoñ nahīñ jaate
ḳhālī haiñ mirī chashm ke sahbā-e-tarannum
ik baar ko aa kar inheñ bhar kyoñ nahīñ jaate
be-vaj.h bhaTakte ho jahāñ-bhar meñ liye dil
ye 'ishq kā rasta hai idhar kyoñ nahīñ jaate
har baar thamā dete ho guldasta unheñ tum
tohfe meñ kabhī le ke jigar kyoñ nahīñ jaate
tum ziist kī ḳhushbū ho ujālā ho chamak ho
jaate hue mujh ko bhī hunar kyoñ nahīñ jaate
ik baar ko jaane se kahāñ hotā hai hāsil
dil-bastī meñ tum bār-e-digar kyoñ nahīñ jaate
maiñ ne bhī kabhī aanā thā shikva hai ye lekin
tum chhoḌ ke kuchh raḳht-e-safar kyoñ nahīñ jaate
jaltī hī chalī jaatī hai ye dard kī ātish
'kāvish' kabhī is dard se bhar kyoñ nahīñ jaate
gul ban ke mere dil mein sanwar kyon nahin jate
ab sham hui jati hai ghar kyon nahin jate
tum wa'da nibhane ko bhi tayyar nahin ho
Darte ho to wa'don se mukar kyon nahin jate
KHali hain meri chashm ke sahba-e-tarannum
ek bar ko aa kar inhen bhar kyon nahin jate
be-wajh bhaTakte ho jahan-bhar mein liye dil
ye 'ishq ka rasta hai idhar kyon nahin jate
har bar thama dete ho guldasta unhen tum
tohfe mein kabhi le ke jigar kyon nahin jate
tum zist ki KHushbu ho ujala ho chamak ho
jate hue mujh ko bhi hunar kyon nahin jate
ek bar ko jaane se kahan hota hai hasil
dil-basti mein tum bar-e-digar kyon nahin jate
main ne bhi kabhi aana tha shikwa hai ye lekin
tum chhoD ke kuchh raKHt-e-safar kyon nahin jate
jalti hi chali jati hai ye dard ki aatish
'kawish' kabhi is dard se bhar kyon nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.