gul dekhna to chashm-e-gul-e-tar bhi dekhna
gul dekhnā to chashm-e-gul-e-tar bhī dekhnā
shabnam ne jo piro.e haiñ gauhar bhī dekhnā
sāhil se ho sakegā na andāza-e-sukūt
gahre samundaroñ meñ utar kar bhī dekhnā
hāthoñ meñ le ke phuul khaḌe haiñ jo raah meñ
tum par vahī uThā.eñge patthar bhī dekhnā
ye kyā ki apnī zaat ke andar hī gum rahe
ik roz apne aap se bāhar bhī dekhnā
phailānā chāhte ho agar paañv to suno
lāzim hai tum pe apnī ye chādar bhī dekhnā
jī bhar ke jab bahār kī rut dekh lo to phir
ujḌī huī rutoñ ke ye manzar bhī dekhnā
'zaiġham' hazār raunaq-e-mahfil bhalī sahī
tanhā.ī jo uThā.egī mahshar bhī dekhnā
gul dekhna to chashm-e-gul-e-tar bhi dekhna
shabnam ne jo piroe hain gauhar bhi dekhna
sahil se ho sakega na andaza-e-sukut
gahre samundaron mein utar kar bhi dekhna
hathon mein le ke phul khaDe hain jo rah mein
tum par wahi uThaenge patthar bhi dekhna
ye kya ki apni zat ke andar hi gum rahe
ek roz apne aap se bahar bhi dekhna
phailana chahte ho agar panw to suno
lazim hai tum pe apni ye chadar bhi dekhna
ji bhar ke jab bahaar ki rut dekh lo to phir
ujDi hui ruton ke ye manzar bhi dekhna
'zaigham' hazar raunaq-e-mahfil bhali sahi
tanhai jo uThaegi mahshar bhi dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.