gul hai bulbul se KHafa gul se saba bigDi hai
gul hai bulbul se KHafa gul se saba bigDi hai
Munshi Thakur Parsad Talib
MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib
gul hai bulbul se ḳhafā gul se sabā bigḌī hai
baad muddat ke gulistāñ kī havā bigḌī hai
sub.h se jaan kā dushman vo ruḳh-e-raushan thā
shaam se dil ke liye zulf-e-dotā bigḌī hai
naqsh-bar-āb hai ye naqsh-o-nigār-e-duniyā
ḳhāna-e-dahr kī avval se binā bigḌī hai
kyā ajab suur phuñke aag lage dozaḳh meñ
naala bigḌā hai mirī āh-e-rasā bigḌī hai
raah bhūle mire ghar kī to ga.e ġhair ke ghar
haa.e kaisī mirī taqdīr-e-rasā bigḌī hai
ḳhuun karnā use manzūr hai ḳhud 'tālib' kā
is liye ḳhanjar-e-qātil se hinā bigḌī hai
gul hai bulbul se KHafa gul se saba bigDi hai
baad muddat ke gulistan ki hawa bigDi hai
subh se jaan ka dushman wo ruKH-e-raushan tha
sham se dil ke liye zulf-e-dota bigDi hai
naqsh-bar-ab hai ye naqsh-o-nigar-e-duniya
KHana-e-dahr ki awwal se bina bigDi hai
kya ajab sur phunke aag lage dozaKH mein
nala bigDa hai meri aah-e-rasa bigDi hai
rah bhule mere ghar ki to gae ghair ke ghar
hae kaisi meri taqdir-e-rasa bigDi hai
KHun karna use manzur hai KHud 'talib' ka
is liye KHanjar-e-qatil se hina bigDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.