gul ho saba ho sham ho shola ho chandni ho tum
gul ho sabā ho sham' ho sho'la ho chāñdnī ho tum
jhalkī thī koh-e-tūr par bas vahī raushnī ho tum
tum se vujūd hai mirā harakat-e-qalb ho tumhī
quvvat-e-zehn-o-dil ho tum ruuh kī tāzgī ho tum
vābasta tum se jo bhī hoñ mujh ko vo ġham qubūl haiñ
baḳhshe sukūñ jo dā.imī bas ik vahī ḳhushī ho tum
mere taḳhayyulāt kī parvāz ho ga.ī buland
jab se nazar ke rāste zehn meñ aa ga.ī ho tum
tum se kahā bhī thā 'majīd' ifshā na karnā rāz-e-'ishq
rusvā hue galī galī ye kaise aadmī ho tum
gul ho saba ho sham' ho sho'la ho chandni ho tum
jhalki thi koh-e-tur par bas wahi raushni ho tum
tum se wujud hai mera harakat-e-qalb ho tumhi
quwwat-e-zehn-o-dil ho tum ruh ki tazgi ho tum
wabasta tum se jo bhi hon mujh ko wo gham qubul hain
baKHshe sukun jo daimi bas ek wahi KHushi ho tum
mere taKHayyulat ki parwaz ho gai buland
jab se nazar ke raste zehn mein aa gai ho tum
tum se kaha bhi tha 'majid' ifsha na karna raaz-e-'ishq
ruswa hue gali gali ye kaise aadmi ho tum
- Book : Saaya-e-gul (Pg. 139)
- Author : Aslam Kiratpuri
- Publication : Critive Group, Mumbai (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.