gul ke the gulsitan ke the hi nahin
gul ke the gulsitāñ ke the hī nahīñ
ham to jaise vahāñ ke the hī nahīñ
kārvāñ is liye hī chhoḌā thā
ham tire kārvāñ ke the hī nahīñ
jin se karnī thī guftugū ham ko
vo hamārī zabāñ ke the hī nahīñ
aap sunte to sun ke ro dete
vāqiye vo bayāñ ke the hī nahīñ
mausam-e-gul ke intizār meñ the
ham ḳhizāñ meñ ḳhizāñ ke the hī nahīñ
vo jahāñ the vahīñ rahe ab tak
ham jahāñ haiñ vahāñ ke the hī nahīñ
maiñ ne samjhā thā dāstāñ jin ko
vo mirī dāstāñ ke the hī nahīñ
gul ke the gulsitan ke the hi nahin
hum to jaise wahan ke the hi nahin
karwan is liye hi chhoDa tha
hum tere karwan ke the hi nahin
jin se karni thi guftugu hum ko
wo hamari zaban ke the hi nahin
aap sunte to sun ke ro dete
waqiye wo bayan ke the hi nahin
mausam-e-gul ke intizar mein the
hum KHizan mein KHizan ke the hi nahin
wo jahan the wahin rahe ab tak
hum jahan hain wahan ke the hi nahin
main ne samjha tha dastan jin ko
wo meri dastan ke the hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.