gul khile hain na to gulshan mein bahaar aai hai
gul khile haiñ na to gulshan meñ bahār aa.ī hai
dil kī bastī meñ ye kaisī chaman-ārā.ī hai
jagmagāte rahe shab bhar tirī yādoñ ke charāġh
dekheñ kis taur se guzre jo sahar aa.ī hai
naam terā koī le kar jo muḳhātab kartā
maiñ samajhtī ki mirī ḳhud se shanāsā.ī hai
aaj maazī ke darīchoñ se haTā kar parde
ek bhūlī sī kahānī mujhe yaad aa.ī hai
rāh-rau pūchh rahe haiñ rah-e-manzil mujh se
ai junūñ terī badaulat ye ghaḌī aa.ī hai
gul khile hain na to gulshan mein bahaar aai hai
dil ki basti mein ye kaisi chaman-arai hai
jagmagate rahe shab bhar teri yaadon ke charagh
dekhen kis taur se guzre jo sahar aai hai
nam tera koi le kar jo muKHatab karta
main samajhti ki meri KHud se shanasai hai
aaj mazi ke darichon se haTa kar parde
ek bhuli si kahani mujhe yaad aai hai
rah-rau puchh rahe hain rah-e-manzil mujh se
ai junun teri badaulat ye ghaDi aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.