gul ki KHushbu ki tarah aankh ke aansu ki tarah
gul kī ḳhushbū kī tarah aañkh ke aañsū kī tarah
dil pareshān hai gard-e-ram-e-āhū kī tarah
jo gul-andām makīnoñ ko taraste haiñ hanūz
shahr meñ kitne khañDar haiñ mire pahlū kī tarah
zulf-e-gītī ko bhī ā.īna-o-shāna mil jaa.e
tum sañvar jaao jo ārā.ish-e-gesū kī tarah
raqs kartā hai zar-o-sīm kī jhankār pe fan
marmarīñ farsh pe bajte hue ghuñghrū kī tarah
aaj bhī sho'bada-e-ahl-e-havas hai insāf
dast-e-baqqāl meñ parkār tarāzū kī tarah
mahsharistān-e-sukūñ hai mirī hastī 'māhir'
kisī shahbāz ke TuuTe hue baazū kī tarah
gul ki KHushbu ki tarah aankh ke aansu ki tarah
dil pareshan hai gard-e-ram-e-ahu ki tarah
jo gul-andam makinon ko taraste hain hanuz
shahr mein kitne khanDar hain mere pahlu ki tarah
zulf-e-giti ko bhi aaina-o-shana mil jae
tum sanwar jao jo aaraish-e-gesu ki tarah
raqs karta hai zar-o-sim ki jhankar pe fan
marmarin farsh pe bajte hue ghunghru ki tarah
aaj bhi sho'bada-e-ahl-e-hawas hai insaf
dast-e-baqqal mein parkar taraazu ki tarah
mahsharistan-e-sukun hai meri hasti 'mahir'
kisi shahbaz ke TuTe hue bazu ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.