gul milenge yahan par har ek rang ke aap aaen mere gulsitan ki taraf
gul milenge yahan par har ek rang ke aap aaen mere gulsitan ki taraf
Abdus Samad Aasi
MORE BYAbdus Samad Aasi
gul mileñge yahāñ par har ik rang ke aap aa.eñ mire gulsitāñ kī taraf
bū-e-ulfat isī kī bahāroñ meñ haiñ log jaa.eñ to jaa.eñ ḳhizāñ kī taraf
ye mirī anjuman hai yahāñ kuchh nahīñ juz haqīqat yahāñ par bayāñ kuchh nahīñ
aao samjho mire qalb kā mudda.ā sirf jaao na merī zabāñ kī taraf
sar jhukāne se inkār kab hai mujhe bahr-e-masjūd pās-e-adab hai mujhe
sajda-e-shukr bhī kufr ho jā.egā dil jo maa.il hai husn-e-butāñ kī taraf
aql se māvarā hai maqām-e-junūñ sab hī ahl-e-ḳhirad haiñ yahāñ sar-nigūñ
chalte chalte yahāñ kārvāñ ruk gayā manzileñ ḳhud baḌhīñ kārvāñ kī taraf
jab zabāñ kholiye soch kar boliye apne har lafz ko aql par toliye
tiir 'āsī' kamāñ se jo chhuT kar gayā phir vo aatā nahīñ hai kamāñ kī taraf
gul milenge yahan par har ek rang ke aap aaen mere gulsitan ki taraf
bu-e-ulfat isi ki bahaaron mein hain log jaen to jaen KHizan ki taraf
ye meri anjuman hai yahan kuchh nahin juz haqiqat yahan par bayan kuchh nahin
aao samjho mere qalb ka muddaa sirf jao na meri zaban ki taraf
sar jhukane se inkar kab hai mujhe bahr-e-masjud pas-e-adab hai mujhe
sajda-e-shukr bhi kufr ho jaega dil jo mail hai husn-e-butan ki taraf
aql se mawara hai maqam-e-junun sab hi ahl-e-KHirad hain yahan sar-nigun
chalte chalte yahan karwan ruk gaya manzilen KHud baDhin karwan ki taraf
jab zaban kholiye soch kar boliye apne har lafz ko aql par toliye
tir 'asi' kaman se jo chhuT kar gaya phir wo aata nahin hai kaman ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.