gul meri jaanib uTha kar phenkiye
gul mirī jānib uThā kar pheñkiye
ba.ad meñ chāheñ to nashtar pheñkiye
ātish-e-ulfat na bujhne pā.egī
laakh ab is par samundar pheñkiye
ye nahīñ kahtī safā.ī kī muhim
ghar ke kachre ko saḌak par pheñkiye
paap gañgā meñ bahā dījegā aur
nekiyāñ dariyā meñ jā kar pheñkiye
is tarah samjhauta ho saktā nahīñ
aap pahle apnā ḳhanjar pheñkiye
aag siine meñ na lag jaa.e kahīñ
dard kī cigarette bujhā kar pheñkiye
dījiye roTī bhī izzat se use
yuuñ nahīñ samt-e-qalandar pheñkiye
naach kar dikhlā.egā insān bhī
us ke aage thoḌī chilllar pheñkiye
choT 'anjum' aap ko lag jā.egī
āsmāñ par yuuñ na patthar pheñkiye
gul meri jaanib uTha kar phenkiye
baad mein chahen to nashtar phenkiye
aatish-e-ulfat na bujhne paegi
lakh ab is par samundar phenkiye
ye nahin kahti safai ki muhim
ghar ke kachre ko saDak par phenkiye
pap ganga mein baha dijega aur
nekiyan dariya mein ja kar phenkiye
is tarah samjhauta ho sakta nahin
aap pahle apna KHanjar phenkiye
aag sine mein na lag jae kahin
dard ki cigarette bujha kar phenkiye
dijiye roTi bhi izzat se use
yun nahin samt-e-qalandar phenkiye
nach kar dikhlaega insan bhi
us ke aage thoDi chilllar phenkiye
choT 'anjum' aap ko lag jaegi
aasman par yun na patthar phenkiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.