gul nahin hun mujhse kyunkar rang-o-bu le jaiye
gul nahīñ huuñ mujh se kyūñkar rang-o-bū le jā.iye
justujū-e-be-sabab huuñ kū-ba-kū le jā.iye
is se pahle dar-ba-dar phirne lage tā-gosh-o-lab
zehn-o-dil ke hāshiyoñ par guftugū le jā.iye
ab bhī mere zarf meñ thoḌī namī hai tah-nashīñ
talḳhī-e-ayyām ḳhūn-e-ārzū le jā.iye
soch ke dhāroñ meñ bah jaane se pahle aap bhī
zā.iqe ke vāste thoḌā lahū le jā.iye
yaad ke saa.e bhī dāḳhil un meñ ho paate nahīñ
ek sahrā-e-junūñ yā dasht-e-hū le jā.iye
bas yahī donoñ haiñ vāqif aap ke a.amāl se
e'tibār-e-dost yā chashm-e-adū le jā.iye
gul nahin hun mujh se kyunkar rang-o-bu le jaiye
justuju-e-be-sabab hun ku-ba-ku le jaiye
is se pahle dar-ba-dar phirne lage ta-gosh-o-lab
zehn-o-dil ke hashiyon par guftugu le jaiye
ab bhi mere zarf mein thoDi nami hai tah-nashin
talKHi-e-ayyam KHun-e-arzu le jaiye
soch ke dhaaron mein bah jaane se pahle aap bhi
zaiqe ke waste thoDa lahu le jaiye
yaad ke sae bhi daKHil un mein ho pate nahin
ek sahra-e-junun ya dasht-e-hu le jaiye
bas yahi donon hain waqif aap ke aamal se
e'tibar-e-dost ya chashm-e-adu le jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.