gul ne jab iKHtiyar ki aawaz
gul ne jab iḳhtiyār kī āvāz
aur mahkī bahār kī āvāz
kab suneñgī hamāre rishtoñ kī
sūkhī shāḳheñ bahār kī āvāz
aane vaalā hai kaun sā mausam
gul se aatī hai ḳhaar kī āvāz
pattharoñ par asar nahīñ kartī
jhiil dariyā chinār kī āvāz
jaane kis samt kis samundar meñ
so ga.ī ābshār kī āvāz
kar ga.ī hai samā'ateñ majrūh
TūTte e'tibār kī āvāz
kal inhīñ bām-o-dar se aa.egī
mere naqsh-o-nigār kī āvāz
ab to aane lagī hai āñkhoñ se
niiñd ke intizār kī āvāz
tū muqarrir hai kis zamāne kā
tujh se aatī hai daar kī āvāz
ḳhanjaroñ ke badal ga.e lahje
ik ġharīb-ud-dayār kī āvāz
qāfile kā patā batā.e kaun
chup hai sahrā ġhubār kī āvāz
tere har she'r kā hai ai 'kāzim'
harf-e-tanhā hazār kī āvāz
gul ne jab iKHtiyar ki aawaz
aur mahki bahaar ki aawaz
kab sunengi hamare rishton ki
sukhi shaKHen bahaar ki aawaz
aane wala hai kaun sa mausam
gul se aati hai KHar ki aawaz
pattharon par asar nahin karti
jhil dariya chinar ki aawaz
jaane kis samt kis samundar mein
so gai aabshaar ki aawaz
kar gai hai sama'aten majruh
TuTte e'tibar ki aawaz
kal inhin baam-o-dar se aaegi
mere naqsh-o-nigar ki aawaz
ab to aane lagi hai aankhon se
nind ke intizar ki aawaz
tu muqarrir hai kis zamane ka
tujh se aati hai dar ki aawaz
KHanjaron ke badal gae lahje
ek gharib-ud-dayar ki aawaz
qafile ka pata batae kaun
chup hai sahra ghubar ki aawaz
tere har she'r ka hai ai 'kazim'
harf-e-tanha hazar ki aawaz
- Book : کتاب سنگ (Pg. 39)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.