gul-o-bulbul ke jhagDon ko sar-e-gulzar rahne de
gul-o-bulbul ke jhagḌoñ ko sar-e-gulzār rahne de
hikāyat merī sun le qissa-e-bekār rahne de
dil-e-āshiq meñ apne ishq kā āzār rahne de
mire pahlū meñ ye tīr-e-jigar-afgār rahne de
sunā tū ne nahīñ kyā tuur par muusā kā ġhash khānā
tamanna apnī dil meñ tālib-e-dīdār rahne de
pasand aatī hai ye terī adā jāñ-bāz-e-ulfat ko
sitamgar tū abhī zeb-e-kamar talvār rahne de
tujhe va.ade kī shab sūjhī hinā-bandī kī kyoñ sūjhī
ye hiile ye bahāne mujh se ai ayyār rahne de
tire kushte to lākhoñ jā chuke gor-e-ġharībāñ ko
mirī mayyat to ai zālim pas-e-dīvār rahne de
gul-o-bulbul ke jhagDon ko sar-e-gulzar rahne de
hikayat meri sun le qissa-e-bekar rahne de
dil-e-ashiq mein apne ishq ka aazar rahne de
mere pahlu mein ye tir-e-jigar-afgar rahne de
suna tu ne nahin kya tur par musa ka ghash khana
tamanna apni dil mein talib-e-didar rahne de
pasand aati hai ye teri ada jaan-baz-e-ulfat ko
sitamgar tu abhi zeb-e-kamar talwar rahne de
tujhe wade ki shab sujhi hina-bandi ki kyon sujhi
ye hile ye bahane mujh se ai ayyar rahne de
tere kushte to lakhon ja chuke gor-e-ghariban ko
meri mayyat to ai zalim pas-e-diwar rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.