gul-o-gauhar to kya har shai mein hai jalwa ayan tera
gul-o-gauhar to kya har shai mein hai jalwa ayan tera
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
gul-o-gauhar to kyā har shai meñ hai jalva ayaañ terā
ḳhudāyā be-nishāñ ho kar milā ham ko nishāñ terā
tire abr-e-karam se parvarish maḳhlūq paatī hai
ilāhī jā-ba-jā hai faiz kā dariyā ravāñ terā
pukārā dair meñ nāqūs se tujh ko barahman ne
haram meñ naam zāhid ne liyā vaqt-e-azāñ terā
tirī rahmat kā lañgḌe aur lūloñ ko sahārā hai
ilāhī nām-e-ālī hai asā-e-nā-tavāñ terā
sharar patthar se jab niklā to ham ko ye huā sābit
ki har zarre meñ pinhāñ ho gayā husn-e-nihāñ terā
fanā ho jaane vaale kār-ḳhāne haiñ zamāne ke
rahegā naam baaqī ḳhāliq-e-kaun-o-makāñ terā
tirī maujūdgī har shai meñ juzv-o-kul se sābit hai
magar hasrat hai phir bhī to nahīñ miltā nishāñ terā
karam ai abr-e-rahmat tishnigān-e-āb-e-ulfat par
madad a mauj-e-shafqat jāñ-ba-lab hai nīm-jāñ terā
gunah sab baḳhsh denā lutf se 'akbar' ke mahshar meñ
bharosa hai ise ai mālik-e-har-do-jahāñ terā
gul-o-gauhar to kya har shai mein hai jalwa ayan tera
KHudaya be-nishan ho kar mila hum ko nishan tera
tere abr-e-karam se parwarish maKHluq pati hai
ilahi ja-ba-ja hai faiz ka dariya rawan tera
pukara dair mein naqus se tujh ko barahman ne
haram mein nam zahid ne liya waqt-e-azan tera
teri rahmat ka langDe aur lulon ko sahaara hai
ilahi nam-e-ali hai asa-e-na-tawan tera
sharar patthar se jab nikla to hum ko ye hua sabit
ki har zarre mein pinhan ho gaya husn-e-nihan tera
fana ho jaane wale kar-KHane hain zamane ke
rahega nam baqi KHaliq-e-kaun-o-makan tera
teri maujudgi har shai mein juzw-o-kul se sabit hai
magar hasrat hai phir bhi to nahin milta nishan tera
karam ai abr-e-rahmat tishnigan-e-ab-e-ulfat par
madad a mauj-e-shafqat jaan-ba-lab hai nim-jaan tera
gunah sab baKHsh dena lutf se 'akbar' ke mahshar mein
bharosa hai ise ai malik-e-har-do-jahan tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.