gul-ruKHon ki KHabar nahin milti
gul-ruḳhoñ kī ḳhabar nahīñ miltī
kyūñki bād-e-sahar nahīñ miltī
vo jo chāhat thī nisbatoñ meñ kal
aaj DhūñDo magar nahīñ miltī
kho gayā huuñ zamāñ makāñ meñ ab
qadr-e-shām-o-sahar nahīñ miltī
hai jo lamha usī ko jiinā hai
us se aage ḳhabar nahīñ miltī
zindagī ke musāfiroñ ko kyoñ
vus.at-e-rahguzar nahīñ miltī
chashm-e-bīnā kī nāzukī jānūñ
sab ko aisī nazar nahīñ miltī
huuñ azal se ravāñ-davāñ 'ādil'
phir bhī manzil magar nahīñ miltī
gul-ruKHon ki KHabar nahin milti
kyunki baad-e-sahar nahin milti
wo jo chahat thi nisbaton mein kal
aaj DhunDo magar nahin milti
kho gaya hun zaman makan mein ab
qadr-e-sham-o-sahar nahin milti
hai jo lamha usi ko jina hai
us se aage KHabar nahin milti
zindagi ke musafiron ko kyon
wusat-e-rahguzar nahin milti
chashm-e-bina ki nazuki jaanun
sab ko aisi nazar nahin milti
hun azal se rawan-dawan 'adil'
phir bhi manzil magar nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.