gul shagufta hain nasim-e-sahari aai hai
gul shagufta haiñ nasīm-e-saharī aa.ī hai
kis kī aamad hai ye kaisī chaman-ārā.ī hai
na asar hai na rasā.ī na to sunvā.ī hai
aah aa.ī bhī tabī.at to kahāñ aa.ī hai
hijr kī raat jo aa.ī hai to kyoñ aa.ī hai
mujh ko ma.alūm hai paiġhām-e-qazā laa.ī hai
tāqat-e-zabt na ab tāb-e-shakebā.ī hai
hai bajā hoñToñ pe fariyād agar aa.ī hai
jald aa jā kahīñ tū bhī ki hai vaqt-e-ruḳhsat
tere bīmār ko lene ko qazā aa.ī hai
maut se pahle jo marnā hai vo marnā hai yahī
dil kahīñ aa.e to samjho ki qazā aa.ī hai
dekhtā rahtā hai ā.īne meñ shoḳhī apnī
kyā tamāsha hai vo ḳhud apnā tamāshā.ī hai
pūchhiye us se ki hai dard-e-mohabbat kaisā
jis ne ye choT kaleje pe kabhī khaa.ī hai
un ke jalvoñ kī ye tauqīr ye azmat ye shaan
merī āñkhoñ meñ mire dil meñ jagah paa.ī hai
naqd-e-jāñ de ke mohabbat meñ alam se chhūTe
is tarīqe se ġharaz ham ne jagah paa.ī hai
ḳhair ho kaun sī uftād paḌī ai 'sābir'
dil Thikāne nahīñ āvāz bhī bhar aa.ī hai
gul shagufta hain nasim-e-sahari aai hai
kis ki aamad hai ye kaisi chaman-arai hai
na asar hai na rasai na to sunwai hai
aah aai bhi tabiat to kahan aai hai
hijr ki raat jo aai hai to kyon aai hai
mujh ko malum hai paigham-e-qaza lai hai
taqat-e-zabt na ab tab-e-shakebai hai
hai baja honTon pe fariyaad agar aai hai
jald aa ja kahin tu bhi ki hai waqt-e-ruKHsat
tere bimar ko lene ko qaza aai hai
maut se pahle jo marna hai wo marna hai yahi
dil kahin aae to samjho ki qaza aai hai
dekhta rahta hai aaine mein shoKHi apni
kya tamasha hai wo KHud apna tamashai hai
puchhiye us se ki hai dard-e-mohabbat kaisa
jis ne ye choT kaleje pe kabhi khai hai
un ke jalwon ki ye tauqir ye azmat ye shan
meri aankhon mein mere dil mein jagah pai hai
naqd-e-jaan de ke mohabbat mein alam se chhuTe
is tariqe se gharaz hum ne jagah pai hai
KHair ho kaun si uftad paDi ai 'sabir'
dil Thikane nahin aawaz bhi bhar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.