gulab kanTon mein jis tarh muskuraate hain
gulāb kāñToñ meñ jis tarh muskurāte haiñ
ham apnā dard zamāne se yuuñ chhupāte haiñ
amiir log banā lete haiñ makān ūñche
ġharīb logoñ se yuuñ dūriyāñ banāte haiñ
na dekh in ko haqārat se kaam ke haiñ log
pasīna apnā ye mazdūr jo bahāte haiñ
vo log Darte nahīñ haiñ kisī bhī āñdhī se
mohabbatoñ ke charāġhoñ ko jo jalāte haiñ
jo bā-zamīr haiñ ḳhud.dār haiñ tabī'at se
nahīñ batāte vo majbūriyāñ chhupāte haiñ
hamāre lafz haiñ raushan charāġhoñ kī mānind
hamāre lafz chamakte haiñ jagmagāte haiñ
hamārā kaam bahut ahmiyat kā hai 'yāsīn'
jo log so.e hue haiñ unheñ jagāte haiñ
gulab kanTon mein jis tarh muskuraate hain
hum apna dard zamane se yun chhupate hain
amir log bana lete hain makan unche
gharib logon se yun duriyan banate hain
na dekh in ko haqarat se kaam ke hain log
pasina apna ye mazdur jo bahate hain
wo log Darte nahin hain kisi bhi aandhi se
mohabbaton ke charaghon ko jo jalate hain
jo ba-zamir hain KHuddar hain tabi'at se
nahin batate wo majburiyan chhupate hain
hamare lafz hain raushan charaghon ki manind
hamare lafz chamakte hain jagmagate hain
hamara kaam bahut ahmiyat ka hai 'yasin'
jo log soe hue hain unhen jagate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.