gulab rangon ko zafrani nahin karunga
gulāb rangoñ ko zā'frānī nahīñ karūñgā
maiñ aise paudoñ kī bāġhbānī nahīñ karūñgā
kisī kī ḳhātir ġhalat-bayānī nahīñ karūñgā
maiñ jhūTe logoñ kī tarjumānī nahīñ karūñgā
sunā hai ab vo ḳhilāf mere gavāhī degā
jo kah rahā thā ki bad-gumānī nahīñ karūñgā
sazā maiñ ḳhud ko kabhī na dūñgā tire kiye kī
jigar ko chhalnī lahū ko paanī nahīñ karūñgā
tumhāre ġham kā tumhārī yādoñ kā maiñ amiiñ huuñ
kahā thā tum se ki be-imānī nahīñ karūñgā
mu'āf tujh ko maiñ pahle bhī kar chukā huuñ lekin
dubāra tujh par ye mehrbānī nahīñ karūñgā
ye ġhair-mumkin hai phir bhī hākim banā to 'ādil'
sitam-rasīdoñ pe hukmrānī nahīñ karūñgā
gulab rangon ko za'frani nahin karunga
main aise paudon ki baghbani nahin karunga
kisi ki KHatir ghalat-bayani nahin karunga
main jhuTe logon ki tarjumani nahin karunga
suna hai ab wo KHilaf mere gawahi dega
jo kah raha tha ki bad-gumani nahin karunga
saza main KHud ko kabhi na dunga tere kiye ki
jigar ko chhalni lahu ko pani nahin karunga
tumhaare gham ka tumhaari yaadon ka main amin hun
kaha tha tum se ki be-imani nahin karunga
mu'af tujh ko main pahle bhi kar chuka hun lekin
dubara tujh par ye mehrbani nahin karunga
ye ghair-mumkin hai phir bhi hakim bana to 'adil'
sitam-rasidon pe hukmrani nahin karunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.