gulab samjha hua tha jinko wo Khaar nikle
gulāb samjhā huā thā jin ko vo ḳhaar nikle
hamāre dushman hamāre apne hī yaar nikle
kabhī kabhī dard dil meñ nikle to yuuñ lage hai
ki jaise mere badan se kuchh ār-pār nikle
vo log jo ḳhud ko zabt kā rab batā rahe the
paḌī jo mushkil to ek jhaTke kī maar nikle
maiñ haq pe huuñ jaan kar bhī koī nahīñ mire saath
muḳhālifat meñ mirī magar be-shumār nikle
usī ke dil par asar nahīñ ho sakā vagarna
hamārī āñkhoñ se ashk to baar baar nikle
hamārī qismat meñ Dūbnā likh diyā gayā thā
vagarna jo log saath the vo to paar nikle
maiñ chāhtā huuñ tū mujh pe bilkul na jaa.e beTā
maiñ chāhtā huuñ ki tū ibādat-guzār nikle
zabāñ nahīñ saath de sakī merā 'mehdī' varna
mirī to koshish yahī thī dil kā ġhubār nikle
gulab samjha hua tha jin ko wo KHar nikle
hamare dushman hamare apne hi yar nikle
kabhi kabhi dard dil mein nikle to yun lage hai
ki jaise mere badan se kuchh aar-par nikle
wo log jo KHud ko zabt ka rab bata rahe the
paDi jo mushkil to ek jhaTke ki mar nikle
main haq pe hun jaan kar bhi koi nahin mere sath
muKHalifat mein meri magar be-shumar nikle
usi ke dil par asar nahin ho saka wagarna
hamari aankhon se ashk to bar bar nikle
hamari qismat mein Dubna likh diya gaya tha
wagarna jo log sath the wo to par nikle
main chahta hun tu mujh pe bilkul na jae beTa
main chahta hun ki tu ibaadat-guzar nikle
zaban nahin sath de saki mera 'mehdi' warna
meri to koshish yahi thi dil ka ghubar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.