gulistan chhoDte hain aur sahra chhoD dete hain
gulistāñ chhoḌte haiñ aur sahrā chhoḌ dete haiñ
tire ghar jo na jaa.e ham vo rasta chhoḌ dete haiñ
shikan-ālūda māthe ho ga.e be-bāk-goī par
chalo aisā hai to haq baat kahnā chhoḌ dete haiñ
mulāqāteñ musalsal hoñ magar khul kar na hoñ bāteñ
ham aisī kaifiyat meñ milnā-julnā chhoḌ dete haiñ
ḳhudā ke sāmne jab sar-ba-sajda hote haiñ ham log
zarā sī der ko ham saarī duniyā chhoḌ dete haiñ
hamārī tishnagī ko ab thakan mahsūs hotī hai
yahī sahrā-navardī hai to sahrā chhoḌ dete haiñ
'qalaq' paiham tanābeñ TūTtī jaatī haiñ rishtoñ kī
agarche mas.ala koī ulajhtā chhoḌ dete haiñ
gulistan chhoDte hain aur sahra chhoD dete hain
tere ghar jo na jae hum wo rasta chhoD dete hain
shikan-aluda mathe ho gae be-bak-goi par
chalo aisa hai to haq baat kahna chhoD dete hain
mulaqaten musalsal hon magar khul kar na hon baaten
hum aisi kaifiyat mein milna-julna chhoD dete hain
KHuda ke samne jab sar-ba-sajda hote hain hum log
zara si der ko hum sari duniya chhoD dete hain
hamari tishnagi ko ab thakan mahsus hoti hai
yahi sahra-nawardi hai to sahra chhoD dete hain
'qalaq' paiham tanaben TuTti jati hain rishton ki
agarche masala koi ulajhta chhoD dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.