gulon ka husn bhi main raunaq-e-bahaar bhi main
guloñ kā husn bhī maiñ raunaq-e-bahār bhī maiñ
ḳhizāñ-rasīda sī Tahnī pe nok-e-ḳhār bhī maiñ
shikast-ḳhurda bhī maiñ fat.h kā ḳhumār bhī maiñ
jo girte girte sañbhal jaa.e vo savār bhī maiñ
jadīd lamhe bhī mere hisār-e-zāt meñ haiñ
aur apne purkhoñ kī 'azmat kī yādgār bhī maiñ
bichhaḌ ke us kī mujhe yaad tak nahīñ aa.ī
ye aur baat ki rahtā huuñ be-qarār bhī maiñ
ḳhudā kā shukr ki har chiiz us ne baḳhshī hai
magar mazīd 'ināyat kā ḳhvāst-gār bhī maiñ
ye kā.enāt banā.ī ga.ī hai mere liye
har ek manzar-e-hastī kā rāzdār bhī maiñ
na.ī 'imārateñ bhī mere naam se mansūb
purāne shahr kī galiyoñ kā iftiḳhār bhī maiñ
ye sach hai mamlikat-e-she’r kā huuñ shahzāda
agar ḳhulūs se dekho to tājdār bhī maiñ
hai merī zaat bhī minjumla-e-sifāt 'atīq'
anā-shanās bhī maiñ rūh-e-inkisār bhī maiñ
gulon ka husn bhi main raunaq-e-bahaar bhi main
KHizan-rasida si Tahni pe nok-e-KHar bhi main
shikast-KHurda bhi main fath ka KHumar bhi main
jo girte girte sanbhal jae wo sawar bhi main
jadid lamhe bhi mere hisar-e-zat mein hain
aur apne purkhon ki 'azmat ki yaadgar bhi main
bichhaD ke us ki mujhe yaad tak nahin aai
ye aur baat ki rahta hun be-qarar bhi main
KHuda ka shukr ki har chiz us ne baKHshi hai
magar mazid 'inayat ka KHwast-gar bhi main
ye kaenat banai gai hai mere liye
har ek manzar-e-hasti ka raazdar bhi main
nai 'imaraten bhi mere nam se mansub
purane shahr ki galiyon ka iftiKHar bhi main
ye sach hai mamlikat-e-she’r ka hun shahzada
agar KHulus se dekho to tajdar bhi main
hai meri zat bhi minjumla-e-sifat 'atiq'
ana-shanas bhi main ruh-e-inkisar bhi main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.