gulon ke chehra-e-rangin pe wo nikhaar nahin
guloñ ke chehra-e-rañgīñ pe vo nikhār nahīñ
bahār aa.ī magar ālam-e-bahār nahīñ
jo haath aatā hai dāman to chhoḌ detā huuñ
junūñ-navāz abhī mausam-e-bahār nahīñ
kisī kī yaad kā 'ālam na pūchhiye mujh se
kabhī qarār hai dil ko kabhī qarār nahīñ
ye bāñkpan ye adā ye shabāb kā 'ālam
tum aa ga.e to kisī kā ab intizār nahīñ
bahār par bhī ḳhizāñ hī kā rang ġhālib hai
havā zamāne kī gulshan ko sāzgār nahīñ
hamāre sāmne vo haiñ kahīñ ye ḳhvāb na ho
ab apnī āñkhoñ pe bhī ham ko e’tibār nahīñ
ḳhud aa ga.e haiñ simaT kar nigāh meñ jalve
visāl-e-dost hai ye ranj-e-intizār nahīñ
mirā mazāq uḌātā hai ā.īna lekin
mirī haqīqat-e-ġham us pe āshkār nahīñ
hamārī ābla-pā.ī kā faiz kyā kahiye
vo kaun sā hai bayābāñ jo lāla-zār nahīñ
butoñ ko puuj rahā hai tire tasavvur meñ
gunāh kar ke bhī 'faizī' gunāhgār nahīñ
gulon ke chehra-e-rangin pe wo nikhaar nahin
bahaar aai magar aalam-e-bahaar nahin
jo hath aata hai daman to chhoD deta hun
junun-nawaz abhi mausam-e-bahaar nahin
kisi ki yaad ka 'alam na puchhiye mujh se
kabhi qarar hai dil ko kabhi qarar nahin
ye bankpan ye ada ye shabab ka 'alam
tum aa gae to kisi ka ab intizar nahin
bahaar par bhi KHizan hi ka rang ghaalib hai
hawa zamane ki gulshan ko sazgar nahin
hamare samne wo hain kahin ye KHwab na ho
ab apni aankhon pe bhi hum ko e’tibar nahin
KHud aa gae hain simaT kar nigah mein jalwe
visal-e-dost hai ye ranj-e-intizar nahin
mera mazaq uData hai aaina lekin
meri haqiqat-e-gham us pe aashkar nahin
hamari aabla-pai ka faiz kya kahiye
wo kaun sa hai bayaban jo lala-zar nahin
buton ko puj raha hai tere tasawwur mein
gunah kar ke bhi 'faizi' gunahgar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.