gulon ke darmiyan wo khilkhilana yaad aaya hai
guloñ ke darmiyāñ vo khilkhilānā yaad aayā hai
chaman meñ bulbuloñ kā chahchahānā yaad aayā hai
ka.ī phir ḳhvāb āñkhoñ meñ base haiñ zindagī ban kar
hameñ phir 'ishq meñ guzrā zamānā yaad aayā hai
parinde chāhatoñ ke sarzamīñ pe raqs karte haiñ
koī bhūlī kahānī kā fasāna yaad aayā hai
tabassum un laboñ kā phir sahar se gul khilātā hai
bahār-e-husn kā vo lahlahānā yaad aayā hai
hasīñ manzar tumhāre qurb ke ab bhī lubhāte haiñ
tumhāre vasl kā mausam suhānā yaad aayā hai
hameñ 'ābid' kisī se ab shikāyat hai na shikva hai
na jaane kyoñ diloñ kā TuuT jaanā yaad aayā hai
gulon ke darmiyan wo khilkhilana yaad aaya hai
chaman mein bulbulon ka chahchahana yaad aaya hai
kai phir KHwab aankhon mein base hain zindagi ban kar
hamein phir 'ishq mein guzra zamana yaad aaya hai
parinde chahaton ke sarzamin pe raqs karte hain
koi bhuli kahani ka fasana yaad aaya hai
tabassum un labon ka phir sahar se gul khilata hai
bahaar-e-husn ka wo lahlahana yaad aaya hai
hasin manzar tumhaare qurb ke ab bhi lubhate hain
tumhaare wasl ka mausam suhana yaad aaya hai
hamein 'abid' kisi se ab shikayat hai na shikwa hai
na jaane kyon dilon ka TuT jaana yaad aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.