gulon ke jism pe rangon ki tazgi dekho
guloñ ke jism pe rangoñ kī tāzgī dekho
havas kī tez nigāhoñ meñ tishnagī dekho
hai āsmān pe taarī muhīb sannāTā
zamīñ kī god meñ fitrat kī naġhmagī dekho
taḳhayyulāt kā dariyā na TuuT jaa.e kahīñ
havā ke dosh pe sahrā kī tishnagī dekho
ye merī tarz-e-bayāñ kā kamāl hai yaaro
hujūm-e-fikr-o-nazar kī shikastagī dekho
khile haiñ baaġh meñ 'jāmī' bahut gulāb magar
ḳhud apne zauq ke gul kī shaguftagī dekho
gulon ke jism pe rangon ki tazgi dekho
hawas ki tez nigahon mein tishnagi dekho
hai aasman pe tari muhib sannaTa
zamin ki god mein fitrat ki naghmagi dekho
taKHayyulat ka dariya na TuT jae kahin
hawa ke dosh pe sahra ki tishnagi dekho
ye meri tarz-e-bayan ka kamal hai yaro
hujum-e-fikr-o-nazar ki shikastagi dekho
khile hain bagh mein 'jami' bahut gulab magar
KHud apne zauq ke gul ki shaguftagi dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.