gulon ke muskurane ka zamana ho gaya ruKHsat
guloñ ke muskurāne kā zamāna ho gayā ruḳhsat
kisī se dil lagāne kā zamāna ho gayā ruḳhsat
uTho parvāz kī ḳhātir parindo apne par kholo
qafas meñ phaḌphaḌāne kā zamāna ho gayā ruḳhsat
ab us ke gesū-e-barham kī tārīkī na jā.egī
charāġh-e-dil jalāne kā zamāna ho gayā ruḳhsat
yahāñ har ik qadam par dostoñ kī bevafā.ī hai
adū ko āzmāne kā zamāna ho gayā ruḳhsat
milegī kis tarah maqbūliyat is jumle-bāzī se
kisī ko ab lubhāne kā zamāna ho gayā ruḳhsat
na jaane kis khañDar meñ kho ga.ī ta.abīr kī manzil
koī sapnā sajāne kā zamāna ho gayā ruḳhsat
amaañ shām-o-sahar mobile se hotī haiñ ab bāteñ
sanam ko ḳhat lagāne kā zamāna ho gayā ruḳhsat
gulon ke muskurane ka zamana ho gaya ruKHsat
kisi se dil lagane ka zamana ho gaya ruKHsat
uTho parwaz ki KHatir parindo apne par kholo
qafas mein phaDphaDane ka zamana ho gaya ruKHsat
ab us ke gesu-e-barham ki tariki na jaegi
charagh-e-dil jalane ka zamana ho gaya ruKHsat
yahan har ek qadam par doston ki bewafai hai
adu ko aazmane ka zamana ho gaya ruKHsat
milegi kis tarah maqbuliyat is jumle-bazi se
kisi ko ab lubhane ka zamana ho gaya ruKHsat
na jaane kis khanDar mein kho gai tabir ki manzil
koi sapna sajaane ka zamana ho gaya ruKHsat
aman sham-o-sahar mobile se hoti hain ab baaten
sanam ko KHat lagane ka zamana ho gaya ruKHsat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.