gulon ki samt bhanwaron se ziyaada kaun dekhega
gulon ki samt bhanwaron se ziyaada kaun dekhega
Maqsood Anwar Maqsood
MORE BYMaqsood Anwar Maqsood
guloñ kī samt bhañvaroñ se ziyāda kaun dekhegā
ruḳh-e-gulnār par ulfat kā ġhāza kaun dekhegā
nazar ke sāmne jo hai use sab dekh lete haiñ
kisī ke dil ke hujre kā tamāsha kaun dekhegā
tumhāre bin udāsī din pe aksar chhā.ī rahtī hai
shab-e-furqat falak par chāñd taarā kaun dekhegā
mohabbat kā taqāza bas mohabbat hī mohabbat hai
mohabbat meñ zamāne kā taqāza kaun dekhegā
agar pesh-e-nazar terī nazar terā sarāpā ho
kise kahte haiñ qārūnī ḳhazāna kaun dekhegā
paḌhūñ tum ko mohabbat goshe goshe meñ nazar aa.e
lifāfa khol kar ye ḳhatt-e-sāda kaun dekhegā
jise dekho vahī kahtā hai tum 'maqsūd' ho mere
kisī se kar liyā hai maiñ ne va.ada kaun dekhe dekhegā
gulon ki samt bhanwaron se ziyaada kaun dekhega
ruKH-e-gulnar par ulfat ka ghaza kaun dekhega
nazar ke samne jo hai use sab dekh lete hain
kisi ke dil ke hujre ka tamasha kaun dekhega
tumhaare bin udasi din pe aksar chhai rahti hai
shab-e-furqat falak par chand tara kaun dekhega
mohabbat ka taqaza bas mohabbat hi mohabbat hai
mohabbat mein zamane ka taqaza kaun dekhega
agar pesh-e-nazar teri nazar tera sarapa ho
kise kahte hain qaruni KHazana kaun dekhega
paDhun tum ko mohabbat goshe goshe mein nazar aae
lifafa khol kar ye KHatt-e-sada kaun dekhega
jise dekho wahi kahta hai tum 'maqsud' ho mere
kisi se kar liya hai main ne wada kaun dekhe dekhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.