gulon ko baKHsh ke zaKHmon ki tazgi maine
gulon ko baKHsh ke zaKHmon ki tazgi maine
Mohammad Ishaq Afsar Afaqi
MORE BYMohammad Ishaq Afsar Afaqi
guloñ ko baḳhsh ke zaḳhmoñ kī tāzgī maiñ ne
bahār-e-murda meñ ik jaan Daal dī maiñ ne
firāq-e-yār meñ har saañs umr-e-ḳhizr huī
hayāt paa.ī hai qismat se dā.imī maiñ ne
jalā ke apne hī hāthoñ se tinke tinke ko
miTā.ī baḳht-e-nasheman kī tīrgī maiñ ne
na jaane kaun sī manzil hai dil ke pesh-e-nazar
ki ḳhāk-e-ālam-e-imkāñ to chhān lī maiñ ne
Tapak ke bah ga.e qalb-o-jigar bhī āñkhoñ se
mazāq-e-girya ko samjhā thā ik hañsī maiñ ne
sar-e-niyāz dar-e-nāz se uThā na sakā
kī ek sajde meñ takmīl-e-bandagī maiñ ne
machal ke rah ga.e āġhosh-e-chashm meñ aañsū
taḌap ke zabt-e-mohabbat kī daad dī maiñ ne
yahāñ to marg-e-musalsal se paḌ gayā paalā
ilāhī zindagī māñgī thī zindagī maiñ ne
na mil sakā kahīñ matlūb-e-bandagī 'afsar'
tajalliyāt kī duniyā bhī dekh lī maiñ ne
gulon ko baKHsh ke zaKHmon ki tazgi main ne
bahaar-e-murda mein ek jaan Dal di main ne
firaq-e-yar mein har sans umr-e-KHizr hui
hayat pai hai qismat se daimi main ne
jala ke apne hi hathon se tinke tinke ko
miTai baKHt-e-nasheman ki tirgi main ne
na jaane kaun si manzil hai dil ke pesh-e-nazar
ki KHak-e-alam-e-imkan to chhan li main ne
Tapak ke bah gae qalb-o-jigar bhi aankhon se
mazaq-e-girya ko samjha tha ek hansi main ne
sar-e-niyaz dar-e-naz se uTha na saka
ki ek sajde mein takmil-e-bandagi main ne
machal ke rah gae aaghosh-e-chashm mein aansu
taDap ke zabt-e-mohabbat ki dad di main ne
yahan to marg-e-musalsal se paD gaya pala
ilahi zindagi mangi thi zindagi main ne
na mil saka kahin matlub-e-bandagi 'afsar'
tajalliyat ki duniya bhi dekh li main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.