gulon ko chum kar aai saba si lagti thi
guloñ ko chuum kar aa.ī sabā sī lagtī thī
thī ik nazar pe mo.attar havā sī lagtī thī
maiñ zaḳhm zaḳhm thā lekin gulāb hāthoñ meñ
baḌī thī choT to lekin zarā sī lagtī thī
vo tursh-go lab-e-jāñ-baḳhsh bhī thā kyā kahiye
ki talḳh baat bhī us kī davā sī lagtī thī
sitam ko husn-e-sitam kar gayā vahī varna
yahī thī zindagī lekin sazā sī lagtī thī
mirī taḌap ko samajhtā thā ik ibādat vo
mujhe bhī us kī mohabbat duā sī lagtī thī
chalo vo aañkh meñ paanī to de gayā varna
ye saañs andhe kueñ meñ sadā sī lagtī thī
gulon ko chum kar aai saba si lagti thi
thi ek nazar pe moattar hawa si lagti thi
main zaKHm zaKHm tha lekin gulab hathon mein
baDi thi choT to lekin zara si lagti thi
wo tursh-go lab-e-jaan-baKHsh bhi tha kya kahiye
ki talKH baat bhi us ki dawa si lagti thi
sitam ko husn-e-sitam kar gaya wahi warna
yahi thi zindagi lekin saza si lagti thi
meri taDap ko samajhta tha ek ibaadat wo
mujhe bhi us ki mohabbat dua si lagti thi
chalo wo aankh mein pani to de gaya warna
ye sans andhe kuen mein sada si lagti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.