gulon ko rang sitaron ko raushni ke liye
guloñ ko rang sitāroñ ko raushnī ke liye
ḳhudā ne husn diyā tum ko dilbarī ke liye
tumhāre rū-e-munavvar kī zau meñ Duub gayā
falak pe chāñd jo niklā thā hamsarī ke liye
sanam hazāroñ na.e pattharoñ ke andar hī
taḌap rahe haiñ abhī fann-e-āzarī ke liye
are o barq-e-tapāñ phūñk de nasheman ko
taras rahā huuñ gulistāñ meñ raushnī ke liye
rah-e-vafā meñ mirā kaun hai jo har sū se
ġhubār-e-rāh uThī hai payambarī ke liye
nikal paḌā hai junūñ thaam kar ke dast-e-vafā
ik ajnabī kā sahārā hai ajnabī ke liye
jahāñ pe ishq ko saudā-e-ġharz ho ai 'vahīd'
vahī maqām hai ulfat meñ ḳhud-kushī ke liye
gulon ko rang sitaron ko raushni ke liye
KHuda ne husn diya tum ko dilbari ke liye
tumhaare ru-e-munawwar ki zau mein Dub gaya
falak pe chand jo nikla tha hamsari ke liye
sanam hazaron nae pattharon ke andar hi
taDap rahe hain abhi fann-e-azari ke liye
are o barq-e-tapan phunk de nasheman ko
taras raha hun gulistan mein raushni ke liye
rah-e-wafa mein mera kaun hai jo har su se
ghubar-e-rah uThi hai payambari ke liye
nikal paDa hai junun tham kar ke dast-e-wafa
ek ajnabi ka sahaara hai ajnabi ke liye
jahan pe ishq ko sauda-e-gharz ho ai 'wahid'
wahi maqam hai ulfat mein KHud-kushi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.