gulon mein rang kahan hai tere badan ki tarah
gulon mein rang kahan hai tere badan ki tarah
Mukhtar Ashiqi Jaunpuri
MORE BYMukhtar Ashiqi Jaunpuri
guloñ meñ rang kahāñ hai tire badan kī tarah
tirā badan hai sitāroñ kī anjuman kī tarah
vahī jo log the āvāra be-vatan kī tarah
unhīñ ke dam se bayābāñ huā chaman kī tarah
ye hai fareb-e-nazar yā bahār kā mausam
sajā huā hai gulistāñ mirā dulhan kī tarah
junūn-e-shauq mirā kāmyāb ho hī gayā
lage hai mujh ko bayābāñ bhī ab chaman kī tarah
vo zindagī to nahīñ zindagī kā mātam hai
jo zindagī ho vatan hī meñ be-vatan kī tarah
shab-e-firāq hai ġham hai ḳhalish hai aañsū hai
mirī hayāt hai tanhā bhī anjuman kī tarah
jahāñ bhī maiñ ne qadam apnā rakh diyā 'muḳhtār'
mahak uThe vahīñ kāñTe bhī nastaran kī tarah
gulon mein rang kahan hai tere badan ki tarah
tera badan hai sitaron ki anjuman ki tarah
wahi jo log the aawara be-watan ki tarah
unhin ke dam se bayaban hua chaman ki tarah
ye hai fareb-e-nazar ya bahaar ka mausam
saja hua hai gulistan mera dulhan ki tarah
junun-e-shauq mera kaamyab ho hi gaya
lage hai mujh ko bayaban bhi ab chaman ki tarah
wo zindagi to nahin zindagi ka matam hai
jo zindagi ho watan hi mein be-watan ki tarah
shab-e-firaq hai gham hai KHalish hai aansu hai
meri hayat hai tanha bhi anjuman ki tarah
jahan bhi main ne qadam apna rakh diya 'muKHtar'
mahak uThe wahin kanTe bhi nastaran ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.