gulon mein rang nahin mausam-e-bahaar nahin
gulon mein rang nahin mausam-e-bahaar nahin
Surayya Sultana Naseem Niyazi
MORE BYSurayya Sultana Naseem Niyazi
guloñ meñ rang nahīñ mausam-e-bahār nahīñ
mirī hayāt magar phir bhī sogvār nahīñ
hai daur-e-ishq yahāñ jabr-o-iḳhtiyār nahīñ
sukūn-e-dil ke liye koī be-qarār nahīñ
yahī urūj-e-mohabbat yahī usūl-e-vafā
kisī sahar ke liye shām-e-intizār nahīñ
ġham-o-ḳhushī to yahāñ aate jaate rahte haiñ
magar ye ziist kā ai dost e'tibār nahīñ
har ek shai meñ usī kā jamāl hai maujūd
dil-o-nazar ko mirī koī intishār nahīñ
ilāhī baḳhsh de har ek ke gunāhoñ ko
vo kaun hai jo tire aage sharmsār nahīñ
'nasīm' aa ke pareshāñ hai aise sahrā meñ
jahāñ na āb-o-giyāh gul nahīñ hai ḳhaar nahīñ
gulon mein rang nahin mausam-e-bahaar nahin
meri hayat magar phir bhi sogwar nahin
hai daur-e-ishq yahan jabr-o-iKHtiyar nahin
sukun-e-dil ke liye koi be-qarar nahin
yahi uruj-e-mohabbat yahi usul-e-wafa
kisi sahar ke liye sham-e-intizar nahin
gham-o-KHushi to yahan aate jate rahte hain
magar ye zist ka ai dost e'tibar nahin
har ek shai mein usi ka jamal hai maujud
dil-o-nazar ko meri koi intishaar nahin
ilahi baKHsh de har ek ke gunahon ko
wo kaun hai jo tere aage sharmsar nahin
'nasim' aa ke pareshan hai aise sahra mein
jahan na aab-o-giyah gul nahin hai KHar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.