gulon ne muskurane ki saza pai to kya hoga
guloñ ne muskurāne kī sazā paa.ī to kyā hogā
sazā-e-gul pe ġhunchoñ ko hañsī aa.ī to kyā hogā
kahīñ bedād-e-gulchīñ se pareshāñ ho ke ġhunchoñ ne
gulistāñ meñ na khilne kī qasam khaa.ī to kyā hogā
ye mere ashk mere rāz-dāñ haiñ mujh se kahte haiñ
agar ho bhī ga.ī bil-farz rusvā.ī to kyā hogā
ye nā-mumkin nahīñ mil jaa.eñ do ik jaam māñge se
magar ye tishnagī phir bhī na miT paa.ī to kyā hogā
mirī jānib se raaz ifshā na hogā hai yaqīñ mujh ko
sar-e-mahfil vo chashm-e-nāz sharmā.ī to kyā hogā
abhī to azm-e-tark-e-bāda-noshī hai ḳhudā jaane
kabhī tauba mirī shīshe se Takrā.ī to kyā hogā
duā thī aa.eñ vo yā phir qazā aa.e vo kahte haiñ
kahīñ ab un se pahle hī qazā aa.ī to kyā hogā
abhī to hai shikāyat 'nūr' ko un ke taġhāful se
magar ḳhud us ke jazboñ meñ kamī aa.ī to kyā hogā
gulon ne muskurane ki saza pai to kya hoga
saza-e-gul pe ghunchon ko hansi aai to kya hoga
kahin bedad-e-gulchin se pareshan ho ke ghunchon ne
gulistan mein na khilne ki qasam khai to kya hoga
ye mere ashk mere raaz-dan hain mujh se kahte hain
agar ho bhi gai bil-farz ruswai to kya hoga
ye na-mumkin nahin mil jaen do ek jam mange se
magar ye tishnagi phir bhi na miT pai to kya hoga
meri jaanib se raaz ifsha na hoga hai yaqin mujh ko
sar-e-mahfil wo chashm-e-naz sharmai to kya hoga
abhi to azm-e-tark-e-baada-noshi hai KHuda jaane
kabhi tauba meri shishe se Takrai to kya hoga
dua thi aaen wo ya phir qaza aae wo kahte hain
kahin ab un se pahle hi qaza aai to kya hoga
abhi to hai shikayat 'nur' ko un ke taghaful se
magar KHud us ke jazbon mein kami aai to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.