gulon se bair hai kanTon se aashnai hai
guloñ se bair hai kāñToñ se āshnā.ī hai
ye kaisā shahr hai kaisī yahāñ ḳhudā.ī hai
qadam qadam pe masīhā bane ho tum mere
qadam qadam pe mire dil ne choT khaa.ī hai
bharī bahār meñ jis ne mujhe jalā Daalā
vo koī aur nahīñ hai vo merā bhaa.ī hai
ham apne ahd-e-rifāqat ko kyā kareñ maulā
jahāñ bhī jaa.eñ vahāñ mausam-e-judā.ī hai
hamāre peT ke patthar pe tanz mat karnā
hamāre ghar meñ payambar kī rasm aa.ī hai
gulon se bair hai kanTon se aashnai hai
ye kaisa shahr hai kaisi yahan KHudai hai
qadam qadam pe masiha bane ho tum mere
qadam qadam pe mere dil ne choT khai hai
bhari bahaar mein jis ne mujhe jala Dala
wo koi aur nahin hai wo mera bhai hai
hum apne ahd-e-rifaqat ko kya karen maula
jahan bhi jaen wahan mausam-e-judai hai
hamare peT ke patthar pe tanz mat karna
hamare ghar mein payambar ki rasm aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.