gulon se dur jaane ka irada to kiya tha
guloñ se duur jaane kā irāda to kiyā thā
havā se ḳhushbuoñ ne istifāda to kiyā thā
ham ik duuje se elān-e-masarrat kar na paa.e
bichhaḌ ke ham ne ḳhush rahne kā va.ada to kiyā thā
magar dil ho gayā merā sipurd-e-raqs-e-vahshat
kisī ke ishq meñ dil ko kushāda to kiyā thā
tirī maḳhmūr āñkhoñ kī ibārat yaad aa.ī
kisī ne aaj zikr-e-jām-o-bāda to kiyā thā
nazar aane lagā rang-e-fareb-o-makr us meñ
ba-zāhir us ne kuchh din ḳhud ko saada to kiyā thā
libās-e-amn par kyoñ gard-e-nafrat jam ga.ī hai
miyāñ tum ne mohabbat ko labāda to kiyā thā
ḳhasāre meñ hai dil koī to 'dilbar' ko bulā.e
yahāñ us ne kam-az-kam ko ziyāda to kiyā thā
gulon se dur jaane ka irada to kiya tha
hawa se KHushbuon ne istifada to kiya tha
hum ek duje se elan-e-masarrat kar na pae
bichhaD ke hum ne KHush rahne ka wada to kiya tha
magar dil ho gaya mera sipurd-e-raqs-e-wahshat
kisi ke ishq mein dil ko kushada to kiya tha
teri maKHmur aankhon ki ibarat yaad aai
kisi ne aaj zikr-e-jam-o-baada to kiya tha
nazar aane laga rang-e-fareb-o-makr us mein
ba-zahir us ne kuchh din KHud ko sada to kiya tha
libas-e-amn par kyon gard-e-nafrat jam gai hai
miyan tum ne mohabbat ko labaada to kiya tha
KHasare mein hai dil koi to 'dilbar' ko bulae
yahan us ne kam-az-kam ko ziyaada to kiya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.