gulon se wasl ke paiman hawa ne likkhe the
guloñ se vasl ke paimāñ havā ne likkhe the
nasīb-e-shāḳh magar tāziyāne likkhe the
tirā visāl hī zarḳheziyoñ kā lamha thā
phir is ke ba.ad to banjar zamāne likkhe the
kabhī to paḌhtā mirā shahryār bhī un ko
jo bām-o-dar pe navishte qazā ne likkhe the
saroñ se girne lagīñ jab hamārī dastāreñ
in āñdhiyoñ meñ hameñ sar bachāne likkhe the
tamām umr mirī sogvār guzrī hai
nasīb mere kisī karbalā ne likkhe the
maiñ māntā hī nahīñ vā.izoñ kā ye maslak
ki is tarah hī mire din ḳhudā ne likkhe the
gulon se wasl ke paiman hawa ne likkhe the
nasib-e-shaKH magar taziyane likkhe the
tera visal hi zarKHeziyon ka lamha tha
phir is ke baad to banjar zamane likkhe the
kabhi to paDhta mera shahryar bhi un ko
jo baam-o-dar pe nawishte qaza ne likkhe the
saron se girne lagin jab hamari dastaren
in aandhiyon mein hamein sar bachane likkhe the
tamam umr meri sogwar guzri hai
nasib mere kisi karbala ne likkhe the
main manta hi nahin waizon ka ye maslak
ki is tarah hi mere din KHuda ne likkhe the
- Book : Pakistani Adab (Pg. 671)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.