gulshan-ba-dosh nazren lab par hasin tarana
gulshan-ba-dosh nazreñ lab par hasīñ tarāna
har ik adā hai un kī ulfat kā ik fasāna
dīvāna-sāz gesū andāz-e-vālihāna
īmān lūTtā hai ye rang-e-kāfirāna
mahke hue laboñ par bahkā sā ye tabassum
phūloñ se Dhal rahā ho jaise sharāb-ḳhāna
ab tak nigāh meñ hai pahlī nigāh un kī
hañstī rahī mohabbat luTtā rahā zamāna
tāroñ kī bazm ho vo yā ho guloñ kī mahfil
har ek anjuman hai un kā hī jalva-ḳhana
un kī nazar panāheñ ḳhud dil meñ le rahī hai
bijlī ke saa.e meñ hai ab merā āshiyāna
kyā ho bayāñ kisī se tafsīr-e-husn-o-ulfat
sho.aloñ kī ik kahānī shabnam kā ik fasāna
duniyā-e-rang-o-bū meñ ye inqalāb-e-rangīñ
phūloñ kī haiñ jabīneñ kāñToñ kā āstāna
mujh ko 'shifā' miTānā āsāñ nahīñ hai koī
dekhūñ zarā muqābil aa.e mire zamāna
gulshan-ba-dosh nazren lab par hasin tarana
har ek ada hai un ki ulfat ka ek fasana
diwana-saz gesu andaz-e-walihana
iman luTta hai ye rang-e-kafirana
mahke hue labon par bahka sa ye tabassum
phulon se Dhal raha ho jaise sharab-KHana
ab tak nigah mein hai pahli nigah un ki
hansti rahi mohabbat luTta raha zamana
taron ki bazm ho wo ya ho gulon ki mahfil
har ek anjuman hai un ka hi jalwa-KHana
un ki nazar panahen KHud dil mein le rahi hai
bijli ke sae mein hai ab mera aashiyana
kya ho bayan kisi se tafsir-e-husn-o-ulfat
shoalon ki ek kahani shabnam ka ek fasana
duniya-e-rang-o-bu mein ye inqalab-e-rangin
phulon ki hain jabinen kanTon ka aastana
mujh ko 'shifa' miTana aasan nahin hai koi
dekhun zara muqabil aae mere zamana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.