gulshan-e-ilm ki nikhat hun gul-e-tar main hun
gulshan-e-ilm ki nikhat hun gul-e-tar main hun
Mahir Qureshi Barelvi
MORE BYMahir Qureshi Barelvi
gulshan-e-ilm kī nik.hat huuñ gul-e-tar maiñ huuñ
qadr-dāñ jis ke sabhī haiñ vo suḳhanvar maiñ huuñ
inqilābāt huuñ tahrīk huuñ mahshar maiñ huuñ
jis meñ āfāq samā jaa.eñ vo chādar maiñ huuñ
sirf ik sho'la mizājī hai mirī shān-e-vajūd
qatra-e-abr huuñ dariyā huuñ samundar maiñ huuñ
roz-e-avval se huā hai mujhe vahdat kā shu'ūr
jo parastār-e-haqīqat hai vo shankar maiñ huuñ
apnī fitrat se dahaktī huī dhūpeñ pī kar
sard paanī jo ugal detā hai kankar maiñ huuñ
mujh se aivān-e-imārat kī chunī har dīvār
ret kī shakl meñ rauñdā huā patthar maiñ huuñ
josh-e-dariyā mirī ḳhāmosh ravānī ko samajh
rah gayā thā jo kisī dhāre se kaT kar maiñ huuñ
apnī taḳhlīq pe hai naaz bajā hai 'māhir'
chashm-e-tanqīd-e-nigārāñ meñ huuñ bartar maiñ huuñ
gulshan-e-ilm ki nikhat hun gul-e-tar main hun
qadr-dan jis ke sabhi hain wo suKHanwar main hun
inqilabaat hun tahrik hun mahshar main hun
jis mein aafaq sama jaen wo chadar main hun
sirf ek sho'la mizaji hai meri shan-e-wajud
qatra-e-abr hun dariya hun samundar main hun
roz-e-awwal se hua hai mujhe wahdat ka shu'ur
jo parastar-e-haqiqat hai wo shankar main hun
apni fitrat se dahakti hui dhupen pi kar
sard pani jo ugal deta hai kankar main hun
mujh se aiwan-e-imarat ki chuni har diwar
ret ki shakl mein raunda hua patthar main hun
josh-e-dariya meri KHamosh rawani ko samajh
rah gaya tha jo kisi dhaare se kaT kar main hun
apni taKHliq pe hai naz baja hai 'mahir'
chashm-e-tanqid-e-nigaran mein hun bartar main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.