gulshan-e-lala-zar kya mausam-e-KHush-gawar kya
gulshan-e-lala-zar kya mausam-e-KHush-gawar kya
Gulamullah Afsoon Bhopali
MORE BYGulamullah Afsoon Bhopali
gulshan-e-lāla-zār kyā mausam-e-ḳhush-gavār kyā
jis kī bahār aap haiñ us ke liye bahār kyā
ruk to nahīñ ga.ī kahīñ gardish-e-rozgār kyā
tujh ko sukūñ se vāsta ai dil-e-be-qarār kyā
sīna-e-dāġh-dār dekh dīda-e-ashk-bār dekh
dil kī mire bahār dekh sho.abada-e-bahār kyā
raah na.ī banā.e jā tez qadam uThā.e jā
shauq-e-talab baḌhā.e jā fikr-e-ma.āl-e-kār kyā
ḳhauf hai phir na kuchh ḳhatar ishq agar hai rāhbar
ho ke qarīb-tar guzar fitna-e-rozgār kyā
ahl-e-chaman hī jab hameñ bhuul ga.e to ham-nashīñ
sahn-e-chaman kī yaad kyoñ tazkira-e-bahār kyā
shauq-o-talab kī raah meñ manzil-e-ashk-o-āh meñ
lā na sakī unheñ to phir gardish-e-rozgār kyā
qismat-e-ġham badal ga.ī dil ke nasīb jaag uThe
afsūñ ab un se kījiye shikva-e-intizār kyā
gulshan-e-lala-zar kya mausam-e-KHush-gawar kya
jis ki bahaar aap hain us ke liye bahaar kya
ruk to nahin gai kahin gardish-e-rozgar kya
tujh ko sukun se wasta ai dil-e-be-qarar kya
sina-e-dagh-dar dekh dida-e-ashk-bar dekh
dil ki mere bahaar dekh shoabada-e-bahaar kya
rah nai banae ja tez qadam uThae ja
shauq-e-talab baDhae ja fikr-e-maal-e-kar kya
KHauf hai phir na kuchh KHatar ishq agar hai rahbar
ho ke qarib-tar guzar fitna-e-rozgar kya
ahl-e-chaman hi jab hamein bhul gae to ham-nashin
sahn-e-chaman ki yaad kyon tazkira-e-bahaar kya
shauq-o-talab ki rah mein manzil-e-ashk-o-ah mein
la na saki unhen to phir gardish-e-rozgar kya
qismat-e-gham badal gai dil ke nasib jag uThe
afsun ab un se kijiye shikwa-e-intizar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.