gulshan-e-ummid yun ujDa ki sahra ho gaya
gulshan-e-ummīd yuuñ ujḌā ki sahrā ho gayā
us ne āñkheñ pher liiñ har sū añdherā ho gayā
mauj-ta-ba-mauj phailī hai bisāt-e-kā.enāt
pyaas jab Duubī samundar aur gahrā ho gayā
bebasī kī dhuup jab ḳhvāboñ ke chehre par paḌī
aap kī yādoñ kā saayā aur gahrā ho gayā
tābish-e-jalva kī ye rañgīniyāñ kis se kahūñ
merī nazroñ meñ har ik manzar sunahrā ho gayā
tīrgī hī tīrgī thī bazm-e-ehsāsāt meñ
aap jab aa.e kiran phūTī saverā ho gayā
be-haqīqat zindagī kī har haqīqat hai sarāb
aa.e Thahre aur chale do din baserā ho gayā
kyoñ hai ai 'nāshād' har-sū aaj terā tazkira
aisā lagtā hai ki shāyad koī terā ho gayā
gulshan-e-ummid yun ujDa ki sahra ho gaya
us ne aankhen pher lin har su andhera ho gaya
mauj-ta-ba-mauj phaili hai bisat-e-kaenat
pyas jab Dubi samundar aur gahra ho gaya
bebasi ki dhup jab KHwabon ke chehre par paDi
aap ki yaadon ka saya aur gahra ho gaya
tabish-e-jalwa ki ye ranginiyan kis se kahun
meri nazron mein har ek manzar sunahra ho gaya
tirgi hi tirgi thi bazm-e-ehsasat mein
aap jab aae kiran phuTi sawera ho gaya
be-haqiqat zindagi ki har haqiqat hai sarab
aae Thahre aur chale do din basera ho gaya
kyon hai ai 'nashad' har-su aaj tera tazkira
aisa lagta hai ki shayad koi tera ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.