gulshan hai lala-zar chalo chal ke dekh len
gulshan hai lāla-zār chalo chal ke dekh leñ
aa.ī hai kyā bahār chalo chal ke dekh leñ
vo kyoñ haiñ be-qarār chalo chal ke dekh leñ
hai kis kā intizār chalo chal ke dekh leñ
muddat huī hai un se madavā-e-ġham kiye
karte haiñ kitnā pyaar chalo chal ke dekh leñ
vo aap se ḳhafā haiñ ki nārāz ham se haiñ
karte haiñ kis pe vaar chalo chal ke dekh leñ
saare jahāñ kā aish mayassar to hai unheñ
kyoñ zindagī hai yaar chalo chal ke dekh leñ
phir tazkire haiñ un kī sadāqat ke har jagah
kar leñge e.atibār chalo chal ke dekh leñ
miTte nahīñ kisī se miTā.e bhī ye kabhī
ġham-hā-e-rozgār chalo chal ke dekh leñ
mai-ḳhāna-e-hayāt meñ 'mahmūd' in dinoñ
phailā hai intishār chalo chal ke dekh leñ
gulshan hai lala-zar chalo chal ke dekh len
aai hai kya bahaar chalo chal ke dekh len
wo kyon hain be-qarar chalo chal ke dekh len
hai kis ka intizar chalo chal ke dekh len
muddat hui hai un se madawa-e-gham kiye
karte hain kitna pyar chalo chal ke dekh len
wo aap se KHafa hain ki naraaz hum se hain
karte hain kis pe war chalo chal ke dekh len
sare jahan ka aish mayassar to hai unhen
kyon zindagi hai yar chalo chal ke dekh len
phir tazkire hain un ki sadaqat ke har jagah
kar lenge eatibar chalo chal ke dekh len
miTte nahin kisi se miTae bhi ye kabhi
gham-ha-e-rozgar chalo chal ke dekh len
mai-KHana-e-hayat mein 'mahmud' in dinon
phaila hai intishaar chalo chal ke dekh len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.