gulshan ko kuchh nasib tar-o-tazgi nahin
gulshan ko kuchh nasib tar-o-tazgi nahin
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
gulshan ko kuchh nasīb tar-o-tāzgī nahīñ
kaisī bahār aa.ī ki laa.ī ḳhushī nahīñ
gul sīna-chāk kaliyāñ abhī tak udaas haiñ
fasl-e-bahār meñ bhī ḳhizāñ kī kamī nahīñ
ġhārat-gar-e-chaman kahīñ ḳhud bāġhbāñ na ho
aisī to bebasī kabhī gulshan meñ thī nahīñ
kāñToñ ko chun ke pheñk na gulshan se bāġhbāñ
kāñTe nahīñ to baaġh kī phir ḳhair bhī nahīñ
phūloñ meñ laalī aa.ī hai mere hī ḳhuun se
lekin bahār ab mujhe pahchāntī nahīñ
kāñToñ ke saath phūloñ kā husn-e-sulūk dekh
pahlū-e-ġhair meñ bhī unheñ barhamī nahīñ
āñkhoñ se ham ne ashk ke dariyā bahā diye
lekin jigar kī aag bujhā.e bujhī nahīñ
ai dost ek tū hī nahīñ hai asīr-e-ġham
aisā hai kaun jis ko ġham-e-zindagī nahīñ
kāñTe rah-e-hayāt meñ har har qadam pe haiñ
phūloñ kī sej ai 'zakī' yeh zindagī nahīñ
gulshan ko kuchh nasib tar-o-tazgi nahin
kaisi bahaar aai ki lai KHushi nahin
gul sina-chaak kaliyan abhi tak udas hain
fasl-e-bahaar mein bhi KHizan ki kami nahin
ghaarat-gar-e-chaman kahin KHud baghban na ho
aisi to bebasi kabhi gulshan mein thi nahin
kanTon ko chun ke phenk na gulshan se baghban
kanTe nahin to bagh ki phir KHair bhi nahin
phulon mein lali aai hai mere hi KHun se
lekin bahaar ab mujhe pahchanti nahin
kanTon ke sath phulon ka husn-e-suluk dekh
pahlu-e-ghair mein bhi unhen barhami nahin
aankhon se hum ne ashk ke dariya baha diye
lekin jigar ki aag bujhae bujhi nahin
ai dost ek tu hi nahin hai asir-e-gham
aisa hai kaun jis ko gham-e-zindagi nahin
kanTe rah-e-hayat mein har har qadam pe hain
phulon ki sej ai 'zaki' yeh zindagi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.