gulshan mein ghubar khil rahe the
gulshan meñ ġhubār khil rahe the
tum bhiiḌ meñ ham se mil rahe the
paanī meñ vahāñ nasha sā kuchh thā
do dhāre jahāñ pe mil rahe the
shaffāf guhar ke jo sadaf the
malbūs ġhubār-o-gul rahe the
goyā.ī thī aa.ī thī ga.ī thī
ham gūñge the mustaqil rahe the
tanhā.ī se ishq ho gayā thā
har bhiiḌ meñ mushta.il rahe the
gulshan mein ghubar khil rahe the
tum bhiD mein hum se mil rahe the
pani mein wahan nasha sa kuchh tha
do dhaare jahan pe mil rahe the
shaffaf guhar ke jo sadaf the
malbus ghubar-o-gul rahe the
goyai thi aai thi gai thi
hum gunge the mustaqil rahe the
tanhai se ishq ho gaya tha
har bhiD mein mushtail rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.