gulshan pe gul pe aur fazaon pe KHak Dal
gulshan pe gul pe aur fazāoñ pe ḳhaak Daal
phir bhī bache to merī sadāoñ pe ḳhaak Daal
zulfoñ pe ḳhaak Dālnā tauhīn-e-husn hai
koī sabab nikāl ghaTāoñ pe ḳhaak Daal
is baar tere kaam nahīñ aa sakā na maiñ
merī guzishta saarī atāoñ pe ḳhaak Daal
vo haal hai ki haal jo dekhūñ to dil kahe
maazī pe apne thuuk vafāoñ pe ḳhaak Daal
merā ilaaj yaar kī unglī ke lams haiñ
jaane bhī de tabība davāoñ pe ḳhaak Daal
ik bā-hayā se us kī ridā chhin na jaa.e dekh
rabb-e-karīm tez havāoñ pe ḳhaak Daal
gulshan pe gul pe aur fazaon pe KHak Dal
phir bhi bache to meri sadaon pe KHak Dal
zulfon pe KHak Dalna tauhin-e-husn hai
koi sabab nikal ghaTaon pe KHak Dal
is bar tere kaam nahin aa saka na main
meri guzishta sari ataon pe KHak Dal
wo haal hai ki haal jo dekhun to dil kahe
mazi pe apne thuk wafaon pe KHak Dal
mera ilaj yar ki ungli ke lams hain
jaane bhi de tabiba dawaon pe KHak Dal
ek ba-haya se us ki rida chhin na jae dekh
rabb-e-karim tez hawaon pe KHak Dal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.