gulshan se aae hain na bayaban se aae hain
gulshan se aa.e haiñ na bayābāñ se aa.e haiñ
dīvāne tere sarhad-e-imkāñ se aa.e haiñ
ik māh-vash ke husn-e-farozāñ ke faiz se
dil meñ tajalliyāt ke tūfāñ se aa.e haiñ
āñkhoñ meñ hai bahār-e-do-ālam basī huī
ham log aaj mahfil-e-jānāñ se aa.e haiñ
kyā tere bas meñ un kā mudāvā bhī hai koī
dil meñ jo zaḳhm lutf-e-farāvāñ se aa.e haiñ
allah re ehtimām-e-bahārāñ ke silsile
sahrā meñ phuul sehn-e-gulistāñ se aa.e haiñ
un ke karam kī muft meñ tauhīn ho ga.ī
ilzām ham pe tangī-e-dāmāñ se aa.e haiñ
dil ko ġham-e-jahāñ kī shikāyat nahīñ rahī
ādāb-e-zīst sohbat-e-rindāñ se aa.e haiñ
kyā yaad aa ga.ī vo nigāh-e-jamīl-tar
phir dil meñ iztirāb ke paikāñ se aa.e haiñ
'parvez' āsmāñ ko na badnām kījiye
jitne sitam haiñ kū-e-nigārāñ se aa.e haiñ
gulshan se aae hain na bayaban se aae hain
diwane tere sarhad-e-imkan se aae hain
ek mah-wash ke husn-e-farozan ke faiz se
dil mein tajalliyat ke tufan se aae hain
aankhon mein hai bahaar-e-do-alam basi hui
hum log aaj mahfil-e-jaanan se aae hain
kya tere bas mein un ka mudawa bhi hai koi
dil mein jo zaKHm lutf-e-farawan se aae hain
allah re ehtimam-e-bahaaran ke silsile
sahra mein phul sehn-e-gulistan se aae hain
un ke karam ki muft mein tauhin ho gai
ilzam hum pe tangi-e-daman se aae hain
dil ko gham-e-jahan ki shikayat nahin rahi
aadab-e-zist sohbat-e-rindan se aae hain
kya yaad aa gai wo nigah-e-jamil-tar
phir dil mein iztirab ke paikan se aae hain
'parwez' aasman ko na badnam kijiye
jitne sitam hain ku-e-nigaran se aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.