gulsitan maine banaya jo hai virane ko
gulsitāñ maiñ ne banāyā jo hai vīrāne ko
kis kī tāqat hai ujāḌe mire kāshāne ko
aur hoñge tire mohtāj-e-karam ai saaqī
maiñ bahāroñ ko tarastā huuñ na paimāne ko
dhajjiyāñ dāman-e-hastī kī na uḌ jaa.eñ kahīñ
itnā bahkāo na bahke hue dīvāne ko
merī rotī huī āñkhoñ ko na dekho paiham
aur chhalkāo na chhalke hue paimāne ko
aaj tak vo bhī bachāte rahe dāman apnā
kitnā hushiyār samajhte haiñ vo dīvāne ko
saarī duniyā to 'asar' dekh chukī hāl-e-tabāh
ik ḳhudā rah gayā hālat pe taras khāne ko
gulsitan main ne banaya jo hai virane ko
kis ki taqat hai ujaDe mere kashane ko
aur honge tere mohtaj-e-karam ai saqi
main bahaaron ko tarasta hun na paimane ko
dhajjiyan daman-e-hasti ki na uD jaen kahin
itna bahkao na bahke hue diwane ko
meri roti hui aankhon ko na dekho paiham
aur chhalkao na chhalke hue paimane ko
aaj tak wo bhi bachate rahe daman apna
kitna hushiyar samajhte hain wo diwane ko
sari duniya to 'asar' dekh chuki haal-e-tabah
ek KHuda rah gaya haalat pe taras khane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.