gulzar ke jalne ka nishan kuchh bhi nahin hai
gulzār ke jalne kā nishāñ kuchh bhī nahīñ hai
sho.ale na sharar aur na dhuāñ kuchh bhī nahīñ hai
hone pe bhī sab kuchh ye jahāñ kuchh bhī nahīñ hai
sab kuchh hai yahāñ phir bhī yahāñ kuchh bhī nahīñ hai
māyūs na hoñ ye bhī hai tamhīd-e-bahārāñ
ai ahl-e-chaman jaur-e-ḳhizāñ kuchh bhī nahīñ hai
sarmāya-e-hastī kā huā kartā hai saudā
saude meñ magar sūd-o-ziyāñ kuchh bhī nahīñ hai
jo kuchh bhī nazar aatā hai dhoka hai nazar kā
pesh-e-nigah-e-dīda-varāñ kuchh bhī nahīñ hai
har shai vo tujhe jis pe haqīqat kā hai dhoka
juz sho.abada-e-vahm-o-gumāñ kuchh bhī nahīñ hai
qatra bhī hai be-būd samundar bhī hai be-būd
ye kāh-e-subuk koh-e-girāñ kuchh bhī nahīñ hai
mai reḳhta TuuTā huā ḳhum jaam shikasta
maiḳhāne meñ ai bāda-kashāñ kuchh bhī nahīñ hai
gul zīnat-e-kāshāna-e-gulchīñ huā bulbul
hissa tirā juz āh-o-fuġhāñ kuchh bhī nahīñ hai
jo kor haiñ vo dekh nahīñ sakte haiñ varna
taqdīr ke parde meñ nihāñ kuchh bhī nahīñ hai
kyā pūchh rahe ho ki ḳhushī kyā hai alam kyā
phir tujh se maiñ kahtā huuñ ki haañ kuchh bhī nahīñ hai
zālim kī zabāñ aur kaf-e-jallād hai sab kuchh
ye teġh ye ḳhanjar ye sināñ kuchh bhī nahīñ hai
maqsūd jo apnā hai 'valī' sāmne us ke
duniyā ho vo yā bāġh-e-jināñ kuchh bhī nahīñ hai
gulzar ke jalne ka nishan kuchh bhi nahin hai
shoale na sharar aur na dhuan kuchh bhi nahin hai
hone pe bhi sab kuchh ye jahan kuchh bhi nahin hai
sab kuchh hai yahan phir bhi yahan kuchh bhi nahin hai
mayus na hon ye bhi hai tamhid-e-bahaaran
ai ahl-e-chaman jaur-e-KHizan kuchh bhi nahin hai
sarmaya-e-hasti ka hua karta hai sauda
saude mein magar sud-o-ziyan kuchh bhi nahin hai
jo kuchh bhi nazar aata hai dhoka hai nazar ka
pesh-e-nigah-e-dida-waran kuchh bhi nahin hai
har shai wo tujhe jis pe haqiqat ka hai dhoka
juz shoabada-e-wahm-o-guman kuchh bhi nahin hai
qatra bhi hai be-bud samundar bhi hai be-bud
ye kah-e-subuk koh-e-giran kuchh bhi nahin hai
mai reKHta TuTa hua KHum jam shikasta
maiKHane mein ai baada-kashan kuchh bhi nahin hai
gul zinat-e-kashana-e-gulchin hua bulbul
hissa tera juz aah-o-fughan kuchh bhi nahin hai
jo kor hain wo dekh nahin sakte hain warna
taqdir ke parde mein nihan kuchh bhi nahin hai
kya puchh rahe ho ki KHushi kya hai alam kya
phir tujh se main kahta hun ki han kuchh bhi nahin hai
zalim ki zaban aur kaf-e-jallad hai sab kuchh
ye tegh ye KHanjar ye sinan kuchh bhi nahin hai
maqsud jo apna hai 'wali' samne us ke
duniya ho wo ya bagh-e-jinan kuchh bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.