gum-gashta jab har parchhai ban jati hai
gum-gashta jab har parchhā.ī ban jaatī hai
tab ye vahshat bhī māñ-jā.ī ban jaatī hai
dariyā jaan ke mujh tak pyāse aa jaate haiñ
vaj.h-e-ta’āruf ābla-pā.ī ban jaatī hai
surḳh labāda oḌhe shaam hai aks kisī kā
dhuup sunahrī ik añgḌā.ī ban jaatī hai
kuchh logoñ kī duurī andhā kar detī hai
kuchh kurtoñ se to bīnā.ī ban jaatī hai
mujh meñ thoḌī ghor siyāhī mil jaa.e to
hijr-shaboñ vaalī tanhā.ī ban jaatī hai
us ke naam pe maiñ laḌne to aa jaatā huuñ
baat yahī us kī rusvā.ī ban jaatī hai
shaam Dhale hī ġham rone ko aa jaate haiñ
sub.h talak to ghar meñ kaa.ī ban jaatī hai
koī ik apnā hotā hai jis ke dukh par
'sādiq' apnī pīr-parā.ī ban jaatī hai
gum-gashta jab har parchhai ban jati hai
tab ye wahshat bhi man-jai ban jati hai
dariya jaan ke mujh tak pyase aa jate hain
wajh-e-ta’aruf aabla-pai ban jati hai
surKH labaada oDhe sham hai aks kisi ka
dhup sunahri ek angDai ban jati hai
kuchh logon ki duri andha kar deti hai
kuchh kurton se to binai ban jati hai
mujh mein thoDi ghor siyahi mil jae to
hijr-shabon wali tanhai ban jati hai
us ke nam pe main laDne to aa jata hun
baat yahi us ki ruswai ban jati hai
sham Dhale hi gham rone ko aa jate hain
subh talak to ghar mein kai ban jati hai
koi ek apna hota hai jis ke dukh par
'sadiq' apni pir-parai ban jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.